Technology ("science of craft", from Greek τέχνη, techne, "art, skill, cunning of hand"; and -λογία, -logia) is the sum of techniques, skills, methods, and processes used in the production of goods or services or in the accomplishment of objectives, such as scientific investigation.

LightBlog

Breaking

Amazon

Thursday, 30 January 2020

History of Mahashivratri in India 21 February 2020 by Top10nice

  

Mahashivratri kyon mnaate hai  iske piche ka kaaran kya hai? aur SHIVRATRI kaise mnaaye? In sabhi sawaalo ka jwaab apko is post pr milega...                          SHIVRATRI se Judi 2 important Kahaani hai. Jo North India or South India me maani jaati hai. Pehli Kahaani hai jo shiv vivaah ki hai. Ye Kahaani ramcharitmaanas me aur Shreemadbhagwat Puraan me bhi hai. Is Kahaani me shiv ji aur sati ji jaa rahe the tabhi unhone (dandka ran) me Ram aur laxman ko dekha jo Devi seeta ko dhund rahe the.  Tabhi shanker ji ne unhe pranaam kiya. Aur maa sati ko bhram(doubt) ho gaya ki aisa kaise ho skta hai ki niraakar bhagwan saakaar ho jaaye aur saakaar ho bhi gaya to apni street(wife) ko dhund raha hai. Bhagwan to sarwagya aur antaryaami hai. Usko maloom hona chahiye uski patni Kaha hai.  Maa sati ko yaha bhram(doubt) ho jaata hai tabhi Shankar ji unhe samjhaate hai, " Aao pariksha le lo". Tabhi sati ji seeta(Lord RAM'swife) ka roop dhaaran kr ke baith jaati hai. Tabhi Ram ji pehchaan lete hai aur kehte hai, " Maata ji, Pita ji(Father) kaha hai". Tabhi Ram ji yeh sochte hai ke maata ko apni patni ke roop me svikaar(accept) nahi kr skte Aisa soch kr vo vaha se chale jaate hai. Aisa dekh maa sati ko aur bhram(doubt) ho jaata hai ki kya baat hai. Phir sati vaapas(back) aati hai shiv ke paas to vo jhoot bol DETI hai ki Maine ram ki pariksha nahi li. Lekin shiv ji antaryaami hai unhe sab pta tha. Shiv ji ne unhe thoda muskuraa(smile) krke dekha. Ek din daksh(father of Sati) Yagya(worship) krwa rahe the. Magar unhone shiv ji ko nahi bulaaya. Sati jee zid krne lgi ke vo apne pita ji(father) ke paas jaayegi. Shanker ji ne unhe apne pita(father) ke paas jaane ki izaazat de di. Yagya(worship) me jaate hi vaha pr unhe unki behen(sister) ne unse jyaada baat nahi ki. Lekin unki maa ne unka swaagat(welcome) kiya. Jab sati ji yagya pr jaati hai tab vo vaha pr dekhti hai ki yagya ki jagah pr shiv ji ke liye koi jagah nahi thi. To vo apne pati(husband) ka apmaan(insult) samajhkr  khud yagya Agni(fire) me chali jaati hai. Iske baad ram khud Gaye shiv ji ko kaha jab shaadi ka prastaav aayega to aap Haan kr dijiyega. Phir baad me yahi sati ji Parvati(shanker'swife) ka roop le kr aati hai. Aur ram ji ke khne pr shiv ji maa parvati se vivaah kr lete hai. Aur jis din shiv ji ka vivaah Hua us din ko mahashivratri ke roop me mnaaya jaata hai. 

No comments:

Post a Comment